Nabi Syed Ul Anmbia Lyrics | Ustad Nusrat Fateh Ali Khan | Top Qawwali 2021 |
|
kul ambiya se afzal aalin makaam hain woh
allah bhejta hai jispar salaam hain woh aksaame ki imaamat saare payambaron ki saare payambaron ko beshak imaam hain woh nabi sayyid ul ambiya ke baraabar na pehle tha koi na ab hai na hoga muhammad ka saani muhammad ka hamsar na pehle tha koi na ab hai na hoga rasool aur bhi aaye jahaan par lekin unsa na pehle tha koi na ab hai na hoga taaha o yaseen muzammil markaz e kul aur husn e mukammil norr e mubeen hain haq ke kareen hain farsh makeen hain arsh nasheen hain noor e munawwar awwal o aakhir roshan roshan baatin zaahir rasool e mujtaba kahiye muhammad mustafa kahiye khuda ke baad bas woh hain phir iske baad kya kahiye muhammad ka saani muhammad ka hamsar na pehle tha koi na ab hai na hoga agar hai toh ik allah ki hai jo zaat e muhammad se aala hai warna muhammad se aala muhammad se badhkar na pehle tha koi na ab hai na hoga jise haq ne bulwaaya arsh e ulah par hua fazl e haq se jo mehmaan e daawar khuda ki khudaayi mein aisa payambar na pehle tha koi na ab hai na hoga zulaikha thi jispe fida jaan o dil se yun yusuf bade khoobsoorat the lekin rukhe mustafa se haseen rooh e anwar na pehle tha koi na ab hai na hoga nabi saare mehboob hain qibriya ke magar ueh bhi sach hai bajuz mustafa ke habeeb e khuda dono aalam da dilbar na pehle tha koi na ab hai na hoga badayi mein purnam wo baad az khuda hain shah e ambiya hain shah e do sara hain bashar unke rutbe ka allah o akbar na pehle tha koi na ab hai na hoga |