♫musicjinni

yeh bombay shahar ka badaa naam hai..Rafi_Noor Dewasi_Bipin Dutta..a tribute

video thumbnail
Song : yeh bombay shahar ka badaa naam hai..
Film : Yeh Bambai hai,(Kya ye Bombay Hai),1959,
Singer : Mohammed Rafi,
Lyricist : Noor Dewasi,
Music Director : Bipin Dutta,
Producer/Director : Nanubhai Vakil,
Cast : Maruti,Nishi,Tun Tun,Hira Sawant,W.M. Khan,Munshi Munakka,Khurshid,Desai,M.Kumar,Jeevan Kala,Burhan,Rajjak,Govind,
Production Co: Vakil Productions
Lyrics :-
rampampam rampampam
rarampam rapampam
Ye Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
Ye Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai

andhon ko soojhe yahaan door ki
aankhwaalon ko milta nahin raastaa
sunta nahin koyi mazboor ki
kisi ko kisi se nahin waastaa
suno bhaiyaa meraa ye paighaam hai
suno bhaiyaa meraa ye paighaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
Ye Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai

aaloo ko bolen batata yahaan
namaste ko kahte hain Tata yahaan
amrood peroo aur anda hai vaidaa
yahaaan par huye hain naye naam paidaa
ye jisko bulaayen karen shh shh shh
hairat ka yaaron har ik kaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai

Kahin Raj bhayyaa kahin baby Nanda
satte ki maanind hai filmon ka dhanda
jo lag jaaye number to ban jaaye bandaa
jo number na aayaa to maangoge chandaa
zara bachkar rahna suno meraa kahnaa
agar meri maano buraa kaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai

Bijli se chaltin yahaan gaadiyaan
tramon buson ka azab saa hai khel
jo kismat se inmen jagah mil bhi jaaye
to dhakke pe dhakka nikal jaaye tel
badi bheed hai bada shor hai
magar car waalon ko aaraam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai

Ye worli ka naaka ye dadar ka circle
yahaan ka dikhaayen tumhen ek latkaa
jawaanon ki toli haseenon ki halchal
nahin hai shareefon ko koi bhi khatkaa
jo nadaan hai wo hairaan hai
jo hoshiyaar hai wo nakaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
Ye Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai

Jahaan dekhta hoon jidhar dekhtaa hoon
main ladki ko ladkaa banaa dekhtaa hoon
ai mere Bhagwan ye kya dekhtaa hoon
zamaane ki ulti adaa dekhtaa hoon
ye Bharat ki beti hayaa khoke baithi
ab inko bachaana teraa kaam hai
Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
Ye Bombay shahar ka badaa naam hai
par gadbad ghotaale ka har kaam hai
aaa aaa ooo ooo aaa hahahaha laralalra....
Did you know ?
Guddi Maruti is daughter of Maruti .. Maruti Rao .. a comedian,film Producer and Director, he directed a couple of films.....

Noor Devasi : Lyricist, Actor
Noor Devasi was a lyricist in the Hindi film industry. His most popular song was “Aao Huzoor Tumko” in the 1968 movie “Kismat”, composed by O.P. Nayyar and sung by Asha Bhosle.
Other than O.P. Nayyar, he has worked with music directors like Ravindra Jain, Hansraj Behl, Kishore Kumar, Bipin Babul, Ganesh and Dattaram Wadkar during his career.
Some of the songs written by him include “Dil Se Main” (“Bus Conductor”, 1959), “Yeh Pyaar Ka Jhagda Hai” (“Aag Aur Daag”, 1971), “Hun Yun Husn Ka Jalwa” (“Maha Badmash”, 1977), “Chalti Ka Naam Zindagi” (“Chalti Ka Naam Zindagi”, 1982) and “Chhutti Kar Di Meri” (“Nishchay”, 1992).visit this site for Noor Dewasi – Lyricist
https://www.mpositive.in/tag/noor-dewasi-lyricist/
Filmography:
As Actor
Tere Ghar Ke Samne (1963) - Hindi
As Lyrics
Nishchaiy (1992) - Hindi
Maha Badmaash (1977) - Hindi
Aag Aur Daag (1970) - Hindi
Kismat (1968) - Hindi
Raaz (1967) - Hindi
Diamond King (1961) - Hindi
Bipin Dutta :-
Bipin Dutt and Babul were composer duo of the fifties and sixties, again small time having composed music for a few, mostly smaller B and C grade films. Bipin-Babul both started their career as assistants to the great music composer Madan Mohan. They began composing music on their own in the early fifties starting with the film Shaahi Mehmaan, a small budget movie and later Salaam-E-Mohabbat.
They later went on to give music for films such as Chandu, Chaubees Ghante, Bus Conductor, Jungle King, Raat Ke Raahi after which they split in the mid sixties and continued o give music independently but sadly they hardly got any films after that .. Chaalis Din was the first film for which Babul composed music after the split. And Bipin gave music for the film Kya Yeh Bambai Hain. Very few details are known about the musicians. However, they gave some very melodious and foot tapping music in films like Chaubees Ghante, Jungle King where Babul himself sang a couple of songs along with Suman kalyanpur, Reshmi roomal , Raat ke raahi and even in Chalis din...
Written by usha manohar. In category Music.

duniya jo chahe samjhe main to insan hoon..Rafi_Shakeel_Naushad_Mehboob Khan..a tribute

mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam_Mere Mehboob1963_Rafi_ Lata_ShakeelBadayuni_Naushad_a tri_

Disclaimer DMCA