♫musicjinni

Meri Zindagi to Firaq Hai | Complete Ghazal/Qawali | Kalaam /Peer Naseer ud din Naseer Golra Sharif

video thumbnail
#sufi #sufism #islam #tasawuf #love #rumi #allah #urdu #urdupoetry #sufisme #sufipoetry #qadri #nfak #pakistan #ishq #india #e #chishti #poetry #sunni #aswaja #ngajifilsafat #spirituality #goharshahi #sufiquotes #music #islamicquotes #muslim #caknun #bhfyp

Complete Urdu Ghazal/Qawwali of Pir Naseer ud Din Naseer

Meri Zindagi To Firaq Hai, Wo Azal Sy Dil Me Makee'n Sahi
Wo Nigah e Shoq Sy Door Hai'n, Rag e Jaa'n Sy Lakh Qaree'n Sahi

Hamy Jaan Deni Hai Aik Din Wo Kisi Tarha, Wo Kahi Sahi
Hamy Aap Khench'ee'ey Daar Par Jo Nahi Koe, To Hami Sahi

Gham e Zindagi Sy Farar Kia Ye Sakoon Q, Ye Qarar Kia
Gham e Zindagi Bhi Hai Zindagi, Jo Nahi Khushi To Nahi Sahi

Sar e Toor Ho, Sar e Hashr Ho, Hamy Intezar Qabool Hai
Wo Kabhi Mily, Wo Kahi Mily, Wo Kabhi Sahi, Wo Kahi Sahi

5 of 10.
Na Ho, Un Pe Jo Mera Bas Nahi Keh Ye Aashiqi Hai Hawas Nahi
Me Unhi Ka Tha, Me Unhi Ka Hoo'n, Wo Mery Nahi To Nahi Sahi

Mujhy Bethny Ki Jagha Mily, Meri Arzoo Ka Bharam Rahy
Teri Anjuman Me Agar Nahi, Teri Anjuman K Qaree'n Sahi
.
Tery Wasty Hai Ye Waqf Sar, Rahy Ta Abad Tera Sang e Dar
Koe Sajdah Rez Na Ho Saky To Na Ho, Meri Hi Jabee'n Sahi

Meri Zindagi Ka Naqeeb Hai Nahi Door, Mujh Sy Qareeb Hai
Mujhy Us Ka Gham To Naseeb Hai Wo Agar Nahi, To Nahi Sahi

Jo Ho Faisla Wo Sunae'ye, Isy Hashr Par Na Uthae'ye
Jo Kary Gay Aap Sitam Waha, Wo Abhi Sahi, Wo Yehi Sahi

Ussy Dekhny Ki Jo Lo Lagi To Naseer Dekh Hi Lei'n Gy Ham
Wo Hazar Ankh Sy Door Ho, Wo Hazar Parda Nashee'n Sahi
Disclaimer DMCA