♫musicjinni

Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho - Meesum Abbas - 1429 Hijri

video thumbnail
Sakhi Abbas(as) Jari, Ya Ilahi Mujhe De [Mere Ya Rab, Mere Ya Rab]

Ik Jari Chahiye, Tareekh Shuja'at Ke Liye
Karbala Mai, Mere Shabir(as) Ki Nusrat Ke Liye
Aur Namous_e Payambar(saww), Ki Hifazat Ke Liye
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Shukur Sadh Shukur Tera, Shabar(as) O Shabir(as) Diye
Betiyan Ki Hai Attah, Zainab(sa) O Kulsum(sa) Mujhe
Baad Iss Ke, Meri Bas EK Dua Ke Badle
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Aaeena, Sabr O Shuja'at Ka Banana Mera
Hu Ba Hu, Meri Hi Tasveer Ho Bacha Mera
Uss Ko Dekhoun, Toh Nazar Aaye Sar'a'pa Mera
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Koi Be_Yaar O Madadgar, Agar Ho Jaye
Iltija Behar_e Madad, Apni Zuban Par Laye
Mujh Ko Aawaz Koi De, Woh Madad Ko Aaye
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Zindagi Jiss Ki Guzar Jaye, Alamdari Mai
Apne Baazu Bhi Kataa De, Jo Fidaqari Mai
Sab Se Aage Nazar Aaye, Jo Wafadari Mai
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Naam Uss Ka Ho Jin Hontoun Pe, Wahan Pyass Na Ho
Koi Umeed Na Toote, Koi Be_Aas Na Ho
Yaad Kar Ke Usse, Tanhayi Ka Ehsas Na Ho
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Mere Maalik Mere Hontoun Pe Jab Aayi, Yeh Dua
Meri Aankhoun Mai Nazar Aane Lagi, Karbobala
Mera Shabir(as) Museabat Mai, Khada Hai Tanha
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Jab Woh Karbal Mai Ho, Chobess [24] Pahar Ka Pyasa
Har Qadam Par Usse, Eisaar Ka Jazba Dena
Aur Mere Laal Ke, Hathoun Ko Salamat Rakhna
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Aey Kaleem Ho Gayi Maqbool, Dua_e Haider(as)
Uss Ko Meesum Kaha, Hai Fatima Zehra(sa) Ne Pisar
Aarizu Ki Thi Ali(as) Ne, Jo Hazoor_e Daawar
Ya Ilahi, Mujhe Abbas(as) Sa Beta De De
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho

Ghazi Abbas(as) Jari, Ya Ilahi Mujhe De [Jab Mere Ghar Mai Alam Hai, Toh Alamdar Bhi Ho]

https://sipahemasoomeen.wordpress.com/

https://archive.org/details/@sipahemasoomeen

https://www.facebook.com/SipahMasoomeen/

https://www.instagram.com/sipahemasoomeen/

https://www.pinterest.com/sipahemasoomeen/

https://t.me/sipahemasoomeen

https://twitter.com/sipahemasoomeen
Disclaimer DMCA