♫musicjinni

History Of Socrates Sukrat - Socrates Biograhy - Sukraat Ki Kahani In Urdu - Hindi

video thumbnail
Watch:History Of Socrates Sukrat - Sukraat Ki Kahani
In Urdu - Hindi. In ThisVideo I Will Tell You About Socrates History.

Please Subscribe My Channel : https://goo.gl/mpHVZj
Socrates 469 qabal Massih Athens ke mohala alopack main aik sangtarash ke ghar paida hua. Aik dossry hawaly ke mutabbiq wo yonan ke sobah attica ke qareeb aik choty se gaon main paida hua . Sukraat ki walida ka naanm fanarti tha jo dai " Mid Wife' thi. Sukraat ne ilm e hindsa , falakyat , mosiqi aur pehlawani ki taleem hasil ki aur apne aabai peshy sangtarashi ki taleem bhi hasil ki . falsafa ki taleem us ne apne shouq ki bais hasil ki sukraat tees saal ki umer ke lag bag tha jab uss ne aik danishgaah qaim ki . wo logoon se mulaqatain kerta aur khud ko masroof rakhta . is ki masroofiyat ki wajah se wo bohat kam bahir nikalta . log khud chal ker uss ke pass aaty , sawalat pouchty jawab patay aur youn tabadala khayalat se ilam main izzafa kerty. Uss ki pehli shadi jawani main he myrto naami khatoon se huithi mgr sukraat ki pehli ahlia jald hi is dar e fani se rukhsat ho gai. Uss ki mout ke bad sukraat ne aik lambe arse tak shadi na ki aur jab us ki umer 50 bars hui tu us ki dossry shadi Athens ki aik khatoon xainthapi se hui us ski shadi ki bari dilchsap rodad hai apne shagirdoon ke pouchany per uss ne kuch youn kaha.
" Her aik insane ka faraz hai ke wo dossry shadi kary aur olad bhi paida kry . kuenke qanoon e qudrat ki pabandi isi mai hai magr aik aisi orat se shadi kerne ka khwaishmand hoon jo nihayat ziddi , bad mizaaj aur sharer ho taa keh
Duniya main aik namoona qaim karoon ke ache ,muthamil insane her qiasm ki orat ko raam ker lete hain. " chunacy ussi dun se uss ke rafeeq aur shagird aisi orat ko talash kerne lage. Khud sukraat ne aisi hi orat ke liye yonan main aik ishtihar diy a chunschu kchu arse bad aik choty se qasbe ka aik dolatmand zamindaar sukraat ke pass aaya aur kehne laga ke meri aik hi beti hai jis ko main ne bare hi nam o naaz se pala hai magr wo tafooliat hi se aisi sarksh tundmizaj aur laraka ho gai hai her baat main ult hi chalti hai aur bohat hi bad zubaan hai. Sukraat ne is shart pe shadi kerne ki aamadgi ka izhar kiya ke aap aik paisa tak na dain ge. Larki ki umer bhi 35 saal ho chuki thi aur younan main koi shakhs uss se shadi kerne ke liye tayyar na tha
Lakin in tamaam baton ke bawajood wo aik bahimat khatoon thi . sukrat apni biwi ke bare main kehta hai " uss ki her wahi tabahi se mare ander zabt ki quwwat paida hoti hai uss ki lanat o malamat se apne zarf ka imtihan laita hoon main dehta hoon us ki kisi karwi baat se muje ghussa tu nahi aata. Uss ke larne jharne ke bad main apna hosla dekhata hoon. Wo chingari se shula ban jati hai aur main baraf ka dhala bana rehta hoon . bilaakhir wo khoon ke dabao ke barh jane ki wajah se behosh ho jati hai main us ko hosh main lata hoon tu wo meri behad mamnoon hoti hai aur muj se mazrat kerne lagti hai. Xaini mera elaaja hai. Wo mare liye aik rahmat hai. Wo muj main ilam ka ghroor paida nahi hone deiti. Wo muje mari oqat main rakhti hai. Xainthapi de sukrat ke 3 baity paida huay.
Sukraat ne fouj main bhi bahadri ke johar dikhye. Larai se farahat ke bad uss ne api waha qata tabdeel ker li. Khane pehnany aur tabiat main sadgi aa gai is qadar ke bad main jang ke maidan main bhi wo kandhe per gadri uthaye nange paon rehta. Wo falsafyana batian kerne laga tha humwatnoon ko pabandi mazhab ki takeed krta . rafta rafta hakimoon ki aik kaseer tadad uss ke khayalat se faida uthane lagi. Parhne parhane ka silsila jari hua. Uss ke swalat o jawabat ki pehli tahrer uss ke dost simon ki hai. Simon paishe ke lehaz se mouchi tha. Sukraat uss ki dukaan pe baitha kerta tha log waha aaty sawal kerty aur wo jawab deta tha. Simon chunke parha likha tha wo is ki sari guftgoo ko likh liya kerta tha. Shyad simon ku dukaan per baithne ki wajah se baaz muhaqaqeen ne sukraat ko mouchi likha hai, jo sahi nahi hai.sukraat aazadi fikar ka aalambrdar tha mager jamhori tarz e hakoomat ke chand aik aasoloon se sakht ikhtilaaf Rekhta tha. Jis ki wajah se hum dekhty hain ke jamhori hakoomat ke kuch leadroon ne mazhabi peshwaoon ke sath mil ker sukraat ke khilaf aadalat main muqadma daaier karwa diya tha.
399 qabal Masseh main Athens ke hukaam ne sukraat ke khilaaf ye ilzam lagyakeh wo puraany dawataon ki parwah nahi kerta. Naye daiwatoon ke taruff kara raha hai. Nojawanoon ke ikhlaaq kharab ker raha hai. Nojawanoon ko hakoomat ke khilaaf uksa raha hai. Mazhab main ikhtaaat paida ker raha hai lakin jab aadalt lagai gai tu sukraat ne apna muqadma khud lara aur tamam mukhalfeen ki zubanain band ker deen. Sukraat ne apna muqadma khud lara apni safai main bohat kuch kaha dalaiel pesh kiye lakin mazrat ki na zindgi ki bheek mangi. Aadalat main usski baat cheet hamari tareekh ka hissa hai. Ye guftagoo bari pur maghaz, phalsaphyana aur akhlaqiat ke hawale se apni missal aap hai.uss se hum uski insaaf pasandi.

Thanks For Watching This Video . Please Like, Comment and Share .

Sukrat History In Urdu Hindi 2023 - Story of Socrates (Sukrat) Philosopher - Urdu Documentaries

History Of Socrates - Sukrat History & Life Biography - Urdu/Hindi - History Founder

Story of Socrates (Sukrat) In Urdu Hindi - Success Secret According To Sukrat - Urdu Documentaries

Sukrat History in Urdu/Hindi

Wo Kon Tha # 06 | Who was Socrates of Athens? | Faisal Warraich

sukrat history in urdu - socrates history in urdu/hindi | story and facts of socrates | chapter of

Biography of Socrates - Ancient Greek Philosopher - The man who died for his Principles

Socrates (Sukrat) History in Urdu/Hindi | Story and Facts of Socrates

Sukrat history in Urdu | Sukrat Ki Philosophy Kya Thi | Socrate Biography in Hindi (Part-10) #short

Sukrat History In Urdu Hindi - Success of Socrates (Sukrat) Philosopher - /Tawakkal Abbas

Sukrat Kon Tha | Socrates Ny Zehar Kyon Piya | Socrates History Urdu | Socrates Quotes | Al Habib

A Short Socrates Story To Calm Your Mind urdu hindi | Be like water Powerful Motivational Video

✅ Real Story Of Socrates in Urdu | Sukrat Ne Zehar Q Piya | Urdu Wisdom | Mian Tauseef

Sukrat Biography in urdu hindi | socrates story in hindi | Noor IN Bells

Sukrat History and life biography in Urdu/Hindi

SUKRAT HISTORY IN URDU | #SUKRATHISTORY #FALACAFI #falsafaEsaqrat

Sukraat ek mahan philosopher sukraat ki kahani-Sukrat biography in Hindi Urdu

Socrates Kon Tha ? | Socrates History In Urdu | Socrates (Sukrat) History in Urdu/Hindi

Sandeep Maheshwari on Socrates | Hindi

Why did Socrates choose to Die? Interesting Moments by Dr. Vikas Divyakirti.

महान फिलॉस्फर सुकरात के 101 अनमोल विचार | 101 Socrates Quotes in Hindi |

History of Socrates In Hindi Urdu | life story of Sukrat | سقراط

Socrates | Why did Sukrat Drink a Cup of Poison | Sukrat History in Urdu-Hindi | Sukrat Documentary

Story Of Socrates (Sukrat) | Facts of Socrates | Sukrat History in Urdu/ Hindi I Life of Socrates

महान दार्शनिक सुकरात के 51 अनमोल विचार | 51 Socrates Quotes in Hindi |

Aflatoon Kon Tha - Aflatoon History In Urdu - Full Documentary Of Aflatoon

Sukrat ka Aakhri Khatab | Last words of Socrates before Dying | Urdu/Hindi

History Of Socrates Sukrat - Socrates Biograhy - Sukraat Ki Kahani In Urdu - Hindi

Sukrat History in Urdu & hindi/Story of Socrates (Sukrat)/Information Books

Sukrat history in Urdu | socrate question answer | Socrate Biography in Urdu & Hindi(Part-5) #shorts

Disclaimer DMCA