♫musicjinni

Ye Jo Halka Halka Suroor Hai | Javed Ali | First Time Ever | Jashn-e-Rekhta 2023

video thumbnail
Experience the magic as Javed Ali pays homage to the legendary Nusrat Fateh Ali Khan by performing the iconic 'Halka Halka Suroor' for the very first time at Jashn-e-Rekhta. Dive into the realm of Sufi music as we capture the essence of this ever-popular classic, brought to life with Javed Ali's soulful rendition. Join us in celebrating the rich cultural heritage of Urdu poetry and music at Jashn-e-Rekhta.



Ye jo halka halka suroor hai

Ye teri nazar ka qasoor hai

Ke sharab pena sikha diya

Tere pyar ne teri chaah ne

Tteri behki behki nigaah ne

Mujhe ek sharabi bana diyaa

Sharab kaisi, Khumaar kaisa

Ye sab tumhari navazishen hain

Pilayi hai kis nazar se tu ne

Ke mujh ko apni khabar nahin hai


Sara Jahan mast, Jahan ka nizam mast

Din mast, Raat mast, Seher mast, Shaam mast

Mast shisha, Mast subu, Mast jaam mast

Hai teri chashm-e-mast se har Khas-o-am mast


Ye jo saaqi har tarah ki tere may-khane main hai

Wo bhi thorri si jo in ankhon ke paimane main hai

Sab samajhta hun teri ish nazar ai saaqi

Kaam karti hai nazar, naam hai paimane ka

Teraa pyar hai bas meri zindagi


Na namaz ati hai mujhko na vuzu ata hai

Sajdaa kar leta hun jab samne tu ata hai

Main azal se banda-e-ishq hun

Mujhe zuhd-o-kufr ka gham nahin

Mere sar ko dar tera mil gayaa

Mujhe ab talash-e-haram nahin


Meri bandagi hai vo bandagi

Jo baqaid-e-dair-o-haram nahin

Mera ek nazar tumhain dekhna

Ba-Khuda namaz se kam nahin

Tera pyar hai bas meri zindagi

Qayamat main tera dagh-e-muhabat lekar uthaungaa

Teri tasvir us dam bhi kaleje se lagi hogi

... Kyunkey,

Tera pyar hai bas meri zindagi

Teri yaad hai meri bandagi

Jo teri khushi, wo meri khushi

Ye mere junoon ka hai mojizaa

Jahaan apne sar ko jhuka diyaa

Vahan main ne Kaaba bana diyaa

Mere baad kisko sataaoge?


Dil jalon se dil lagi achi nahin

Rrone Walon se hansi achi nahin

Dil lagi hi dil lagi main dil gaya

O mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa


Khuda ke liye apni nazron ko roko warna

Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa

Meri tarah Khuda kare tera kisi pe aye dil

Tu bhi kaleja tham ke kahta phire ke haye dil

Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa

Dil lagi hi dil lagi main dil gayaa

Dil lagane ka nateja mil gayaa

Main to rota hoon ke mera dil gayaa

Tum kyun hanste ho tumhain kya mil gayaa?

... Achaa phir

Mere baad kisko sataogey?

Mujhe kis tarah se mitaogey?

Kahaan jaa kar teer chalaaogey?

Meri dosti ki balayain lo

Mujhe hath utha kar duaain do

Tumhain ek qatil bana diyaa

Arjun Samant

Mujhe dekho khwaish-e-jaan-e-jaan

Main wohi hun "Anwar"-e-nim jaan

Tumhain itnaa hosh tha jab kahaan

Na chalao is tarah tum zubaan

Karo mera shukriya mehrbaan

Tumhain baat karna sikha diyaa

Ye jo halka halka suroor hai

Ye teri nazar kaa qusoor hai

Ke sharab pena sikha diyaa

---
Jashn-e-Rekhta is all about celebrating language legacy, performing arts and cultural heritage of the sub-continent. The channel brings forth the best of different genres to preserve and promote the various art forms.

———-
Jashn-e-Rekhta Recommends(Must Watch)
~6th Jashn-e-Rekhta | 2019
https://youtube.com/playlist?list=PLlLBDf5H0BELVlSzVTbYSJvgzyu_TgUQR
~Most Popular: The Million Playlist
https://youtube.com/playlist?list=PLlLBDf5H0BEKCAKUB_cTtsJD1nXjBTR_6
~Highlights from Jashn-e-Rekhta
https://youtube.com/playlist?list=PLlLBDf5H0BEIiY5qBsphMFCmF1fOZTRjB

DON'T MISS ANY OF OUR VIDEOS. Subscribe & Click the notification bell :
https://www.youtube.com/c/JashneRekhtaOfficial

Help us preserve Urdu language- Contribute/Donate to Rekhta Foundation
https://rekhta.org/donate
--------------------------------------------------------------------------
Connect with us -

Website : https://www.jashnerekhta.org​

Follow us on Social Media -

Instagram : https://www.instagram.com/jashnerekhtaofficial/
Facebook : https://www.facebook.com/JashneRekhta
Twitter : https://twitter.com/jashnerekhta

#JashneRekhta #UrduPoetry #TwoLineUrduPoetry #Shayari #Ghazal

Ye Jo Halka Halka Suroor Hai | Javed Ali | First Time Ever | Jashn-e-Rekhta 2023

Ye Jo Halka Halka Suroor Hai | Jaspinder Narula | Jashn-e-Rekhta

Ye Jo Halka Halka Suroor Hai | Pooja Gaitonde | Jashn-e-Rekhta

Saadgi To Hamari Zara Dekhiye | Team Sukhan | Jashn-e-Rekhta

Zindagi Se Badi Saza Hi Nahin | Relaxing Sitar Cover by Ustad Shujaat Khan at Jashn-e-Rekhta

आवा‌‌ज़ दे मुझको मोहब्बत से | Munawwar Rana Ki Shayari | Jashn-e-Rekhta

Lambi Judai | Harshdeep Kaur Live at Jashn-e-Rekhta

Chaap Tilak | Maithili Thakur | Jashn-e-Rekhta

Maithili Thakur | A Tribute To Nusrat Fateh Ali Khan | Jashn-e-Rekhta 2019

A Game Of Urdu Poetry : Baitbazi | Jashn-e-Rekhta

Usko Paana Hai To Poora Pagal Ban | Varun Anand Ki Shayari | Jashn-e-Rekhta

yeh jo halka halka suroor hai rahat fateh ali khan

Munawwar Rana & Rahat Indori : Mushaira Aur Hum | Jashn-e-Rekhta

Aaj Din Chadheya | Harshdeep Kaur | Jashn-e-Rekhta

Revisiting Sahir Ludhianvi With Javed Akhtar | @Jashn-e-REKHTA

Ro Pa Rahe Hain Aap Badhai Hai Roiye ! Abbas Qamar Shayari | @JashneRekhtaOfficial 2019

Allah Hoo | Jaspinder Narula | Qawwali | @Jashn-e-Rekhta

Dama Dam Mast Qalandar | Popular Qawwali By Harshdeep Kaur | Jashn-e-Rekhta

एक लडक़ी है जो बड़ी भोली है #shorts || #ASR_MOTIVATION_HUB || #rekhta || #poetry

Dama Dam Mast Qalandar | Maithili Thakur | Jashn-e-Rekhta

Chaap Tilak | Qawwali by Niyazi Brothers | @JashneRekhtaOfficial

Zubair Ali Tabish Shayari : Ab Vo Mere Saath Nahin Hai | Jashn-e-Rekhta

Treind ♥️🥀 ये जो हल्का हल्का #वायरल_वीडियो #youtubeshorts

YE JO HALKA HALKA SUROOR HAI | Halka Halka Suroor | Nusrat Fateh Ali Khan Whatsapp Status#shorts

Ye Jo Halka Halka Suroor hai | Nusrat Fateh Ali Khan #shorts #piano

Sabke Jaisi Na Bana Zulf | Shayari Of Love & Compassion | Farhat Ehsas

Urdu Ke Ilaqai Lajhe Aur Maqami Boliyan | Jashn-e-Rekhta

Ek Onkar : A Peaceful Rendition| Harshdeep Kaur | Jashn-e-Rekhta

'Aj Kal Aap Afford Nahin Kar Sakte Ishq Mein Barbaad Hona' | Javed Akhtar at Jashn-e-Rekhta

Wohi Khuda Hai | Koi To Hai Jo Nizam-e-Hasti Chala Raha Hai | Jaspinder Narula | Jashn-e-Rekhta

Disclaimer DMCA