♫musicjinni

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab | Ek Arzoo by Allama Iqbal | Imran Sherazi Voice

video thumbnail
Ek Arzoo Allama Iqbal | Dunya Ki Mehflon Se ukta gaya hoon ya Rab | Iqbal Urdu Poetry | Allama Iqbal Shayari Urdu by RJ Imran Sherazi with Lyrics

Duniya Ki Mehfilon Se Uktaa Gya Hoon Ya Rabb
Kya Lutf Anjuman Ka, Jab Dil Hi Bujh Gya Ho?

Shorish Say Bhaagta Hoon, Dil Dhoondta Hai Mera
Aisa Sakoot Jis Par Taqdeer Bhi Fidaa Ho

Marta Hoon Khamoshi Par, Yeh Aarzoo Hai Meri
Daaman Mein Koh Ke, Ik Chotaa Saa Jhonpra Ho

Azaad Fikr Se Hoon, Uzlat Mein Din Guzaaroon
Dunya Ke Gham Ka Dil Se Kaanta Nikal Gya Ho

Lazzat Sarod Ki Ho Chiriyon Ke Chehchehon Mein
Chashme Ki Shorish Mein Baaja Saa Baj Raha Ho

Gul Ki Kali Chitak Kar Paighaam Day Kissi Ka
Saaghar Zara Saa Goya, Mujhko Jahaan-Numa Ho

Ho Haath Ka Sarhana, Sabza Ka Ho Bachoona!
Sharmaaye Jis Se Jalwat, Khlawat Mein Woh Ada Ho

Maanoos Is Qadr Ho Soorat Se Meri Bulbul
Nannhay Se Dil Mein Us Kay Khatka Na Kuchh M'ra Ho

Saf Baandhay Donon Jaanib Bootay Haray Haray Hon
Nadi Ka Saaf Paani Tasveer Lay Raha Ho

Ho Dilfareb Aisa Kohisaar Ka Nazaara
Paani Bhi Mawj Ban Kar Uth Uth Kay Dekhta Ho

Aaghosh Mein Zameen Ki Soya Huwa Ho Sabza
Phir Phir Kay Jhariyon Mein Paani Chamak Raha Ho

Paani Ko Choo Rehi Ho Jhuk Jhuk Ke Gul Ki Tehni
Jaisay Haseen Koi Aa'ina Dekhta Ho

Mehndi Lagaaye Sooraj Jab Shaam Ki Dulhan Ko
Surkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qabaa Ho

Raaton Ko Jalne Waalay Reh Jaain Thak Kay Jis Dum
Umeed Unki Mera Toota Huwa Diya Ho

Bijlee Chamak Kay Unko Katiya M'ri Dikhaa De
Jab Aasmaan Pe Har Soo Baadal Ghara Huwa Ho

Pichle Pehr Ki Koy'al, Woh Subah Ki Muazzin
Main Uska Hum-Navaa Hoon, Woh Meri Hum-Nava Ho

Kaanon Pe Ho Na Mere Dair O Haram Ka Ihsaan!
Rozan Hi Jhonpree Ka, Mujhko Sehr-Numa Ho

Phoolon Ko Aaye Jis Dam Shabnam Wuzu Karne
Rona Mera Wuzu Ho, Naala Meri Dua Ho!

Is Kham'shi Mein Jaain Itne Buland Naalay
Taaron Kay Qaafilay Ko Meri Sadaa Dara Ho

Har Dardmand Dil Ko Rona Mera Rulaa Day
Bayhosh Jo Paray Hain Shaayad Inhein Jagaa Day

Poet: Doctor Muhammad Iqbal
Voice: Imran Sherazi

دُنیا کی محفِلوں سے اُکتا گیا ہُوں یا رب۔
کیا لُطف انجمن کا جب دِل ہی بُجھ گیا ہو۔

شورش سے بھاگتا ہُوں ، دِل ڈھونڈتا ہے میرا۔
ایسا سکوُت جس پر تقریر بھی فِدا ہو۔

مرتا ہوں خامشی پر ، یہ آرزو ہے میری ۔
دامن میں کوہ کے اِک چھوٹا سا جھونپڑا ہو۔

آزاد فکر سے ہوں ، عُزلت میں دِن گُزاروں۔
دُنیا کے غم کا دِل سے کانٹا نِکل گیا ہو۔

لذّت سَرود کی ہو چڑیوں کے چہچہوں میں۔
چشمے کی شورَشوں میں باجا سا بج رہا ہو۔

گُل کی کلی چٹک کر پیغام دے کسی کا۔
ساغر ذرا سا گویا مجھ کو جہاں نُما ہو۔

ہو ہاتھ کا سَرَھانا، سبزے کا ہو بِچھونا۔
شرمائے جس سے جَلوَت ، خَلوَت میں وہ ادا ہو۔

مانُوس اِس قدر ہو صُورت سے میری بُلبُل۔
ننّھے سے دِل میں اُس کے کھٹکا نہ کُچھ مِرا ہو۔

صف باندھے دونوں جانب بُوٹے ہرے ہرے ہوں۔
ندِّی کا صاف پانی تصوِیر لے رہا ہو۔

ہو دِل فریب ایسا کُہسار کا نظارہ۔
پانی بھی موج بن کر اُٹھ اُٹھ کے دیکھتا ہو۔

آغوش میں زمِیں کی سویا ہوُا ہو سبزہ۔
پھر پھر کے جھاڑِیوں میں پانی چمک رہا ہو۔

پانی کو چھُو رہی ہو جُھک جُھک کے گُل کی ٹہنی۔
جیسے حَسِین کوئی، آئینہ دیکھتا ہو۔

مہندی لگائے سُورج جب شام کی دُلھن کو۔
سُرخی لِئے سُنہرِی ہر پُھول کی قبا ہو۔

راتوں کو چلنے والے رہ جائیں تھک کے جس دَم۔
اُمِّید اُن کی، میرا ٹُوٹا ہُوا دِیا ہو۔

بجلی چمک کے اُن کو کُٹیا مِری دِکھا دے۔
جب آسماں پہ ہر سُو بادل گِھرا ہُوا ہو۔

پچھلے پہر کی کوئل ، وہ صُبْح کی مؤذّن۔
میں اُس کا ہمنَوا ہُوں ، وہ میری ہم نَوا ہو۔

کانوں پہ ہو نہ میرے دَیر وحَرَم کا احساں۔
روزن ہی جھونپڑی کا مجھ کو سَحر نُما ہو۔

پُھولوں کو آئے جس دَم شبنم وضو کرانے۔
رونا مِرا وضو ہو ، نالہ مِری دُعا ہو۔

اُس خامشی میں جائیں اتنے بُلند نالے۔
تاروں کے قافلے کو، میری صدا درا ہو۔

ہر دردمند دِل کو رونا مِرا رُلا دے ۔
بے ہوش جو پڑے ہیں ، شاید اُنھیں جگا دے ۔

Become a member to show your support! https://www.youtube.com/channel/UClEAiOeZbduOAShIjIkpXxA/join

My Other YouTube Channel Links:
Sherazi Info Point ► https://bit.ly/3pnQmtz
Cricket Captain ► https://bit.ly/3hmJPes
Cricket Info ► https://bit.ly/35D7Tak
Shan e Imamat ► https://bit.ly/3pmv0g1

Social Media Links:
► My Website: https://bit.ly/3FNqD3b
► My Facebook: https://bit.ly/3Ajhazg
► MY Twitter: https://bit.ly/3FHJkW1
► Facebook Poetry Group: https://bit.ly/3fND4kO
► Facebook Story Group: https://bit.ly/3rAfBJz
► My Facebook Page: https://bit.ly/3fLsIC1
► My Instagram: https://bit.ly/3GLDZhA
► My Telegram: https://bit.ly/3KIU8Hd
► My TikTok: https://bit.ly/3xe9FKJ

#AllamaIqbal #UrduPoetry #ImranSherazi #IqbalPoetry #IqbalShayari #UrduShayari #shayari #KalameIqbal #ImranSheraziVoice

Baang-e-Dara: 19 | Aik Arzoo | ایک آرزو | A Longing | Allama Iqbal | Iqbaliyat | AadhiBaat

Emotional Kalam e Iqbal -Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab | Hanzala Abdullah | Peace Studio

Aik Arzoo by Allama Muhammad Iqbal | Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Lyrics | Islamic Record

Aik Aarzu | Baang e Dara 19 | Allama Iqbal | Sword Of Haq

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab | Aik Aarzu by Allama Iqbal | Shan e Imamat

Ek Arzoo|| Duniya Ki Mehfiloon Se Ukta Gaya Hu Ya Rab Poem Of Allama Iqbal.

Duniya ki mehfilon se ukta gaya hun ya rab | Allama Iqbal Poetry | Urdu Poetry | Emotional lines

Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hon ya RAB | Aik Arzoo | A Longing | Allama Iqbal | Baang-e-Dara: 19

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab | Ek Arzoo by Allama Iqbal | Imran Sherazi Voice

Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun Ya Rab - Dr Allama Iqbal #iqbal #allamaiqbal

Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun | Allama Iqbal poetry | sad poetry status| WhatsApp poetry status

DUNYA KI MEHFILOON SE UKTA GYA HUN YA RABB!!-AIK AARZOO || Iqbal's Poem || Poetry Hub

Aik Arzoo by Allama Iqbal Full Explanation | Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon | Islam Pakistan

Allama Iqbal Poetry | Duniya ki Mehfilon se | Hafiz Rizwan Poetry

Aik Aarzo Duniya Ki Mehfilon Sa Ukta Gya Hu Ya Rab | Allama Iqbal | English Subtitle

Aik arzoo|Duniya ki mehfilon se ukta gaya hun ya rab|Baang-e-Dara aik arzoo Allama iqbal|Duniya kya

Emotional Kalam | ایک آرزو | A Longing | Aik Arzoo | Dunya ki Mehfilon Se | Allama Iqbal | Abrar

DUNYA KI MEFILOUN SE UKTA GYA HOON YA RAB (AIK ARZOO) @ BIN YASER

Duniya ki mehfilon se ukta gaya hun ya rab | Allama Iqbal Poetry | Urdu Poetry | Emotional lines

Aik Arzoo | Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya hn |Allama Iqbal Best Poetry | Baa Zauq Log

Dunia Ki mehfilon se ukta Gya hoon ya rab | Allama Iqbal | Poetry | Urdu/Hindi |

Aik Arzoo (Bang-e-Dra-019) BY ALLAMA MUHAMMAD IQBAL | Urdu Shayari

Dunya ki Mehfilon se ukta gaya hun ya Rab | Urdu Shayari|Urdu shayari sad| Aik Arzoo By Allama Iqbal

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya RAB | ILAMA IQBAL | Pakistan National Poet Ilam Iqbal Poetry

Allama Iqbal ki Nazam | Ek Aarzoo |Duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon ya rab #allamaiqbal #shayeri

Dunya ke Mehfilon sa Ukta gya hun | Allama iqbal poetry 2023

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun | Iqbal Ghazal | Allama Muhammad Iqbal Nazam

Dunya ki_l Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab 🥺🖤 || Allama Iqbal Shayari 🥀 || Urdu Deep Line's 💫

ek arzoo allama iqbal + Tashreeh | Allama iqbal poetry | kulyat e iqbal | Bang e Dra 19

Baang e Dara | Eik Arzoo/ A Longing | Allama Iqbal best poetry/shayari in Urdu | First Voice

Disclaimer DMCA