♫musicjinni

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab | Aik Aarzu by Allama Iqbal | Shan e Imamat

video thumbnail
Ek Arzu Allama Muhammad Iqbal | Dunya Ki Mehflon Se ukta gaya hoon ya Rab | Urdu Shayari Allam Iqbal | Urdu Poetry by RJ Imran Sherazi with Lyrics | Shan e Imamat

Duniya Ki Mehfilon Se Uktaa Gya Hoon Ya Rabb
Kya Lutf Anjuman Ka, Jab Dil Hi Bujh Gya Ho?

Shorish Say Bhaagta Hoon, Dil Dhoondta Hai Mera
Aisa Sakoot Jis Par Taqdeer Bhi Fidaa Ho

Marta Hoon Khamoshi Par, Yeh Aarzoo Hai Meri
Daaman Mein Koh Ke, Ik Chotaa Saa Jhonpra Ho

Azaad Fikr Se Hoon, Uzlat Mein Din Guzaaroon
Dunya Ke Gham Ka Dil Se Kaanta Nikal Gya Ho

Lazzat Sarod Ki Ho Chiriyon Ke Chehchehon Mein
Chashme Ki Shorish Mein Baaja Saa Baj Raha Ho

Gul Ki Kali Chitak Kar Paighaam Day Kissi Ka
Saaghar Zara Saa Goya, Mujhko Jahaan-Numa Ho

Ho Haath Ka Sarhana, Sabza Ka Ho Bachoona!
Sharmaaye Jis Se Jalwat, Khlawat Mein Woh Ada Ho

Maanoos Is Qadr Ho Soorat Se Meri Bulbul
Nannhay Se Dil Mein Us Kay Khatka Na Kuchh M'ra Ho

Saf Baandhay Donon Jaanib Bootay Haray Haray Hon
Nadi Ka Saaf Paani Tasveer Lay Raha Ho

Ho Dilfareb Aisa Kohisaar Ka Nazaara
Paani Bhi Mawj Ban Kar Uth Uth Kay Dekhta Ho

Aaghosh Mein Zameen Ki Soya Huwa Ho Sabza
Phir Phir Kay Jhariyon Mein Paani Chamak Raha Ho

Paani Ko Choo Rehi Ho Jhuk Jhuk Ke Gul Ki Tehni
Jaisay Haseen Koi Aa'ina Dekhta Ho

Mehndi Lagaaye Sooraj Jab Shaam Ki Dulhan Ko
Surkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qabaa Ho

Raaton Ko Jalne Waalay Reh Jaain Thak Kay Jis Dum
Umeed Unki Mera Toota Huwa Diya Ho

Bijlee Chamak Kay Unko Katiya M'ri Dikhaa De
Jab Aasmaan Pe Har Soo Baadal Ghara Huwa Ho

Pichle Pehr Ki Koy'al, Woh Subah Ki Muazzin
Main Uska Hum-Navaa Hoon, Woh Meri Hum-Nava Ho

Kaanon Pe Ho Na Mere Dair O Haram Ka Ihsaan!
Rozan Hi Jhonpree Ka, Mujhko Sehr-Numa Ho

Phoolon Ko Aaye Jis Dam Shabnam Wuzu Karne
Rona Mera Wuzu Ho, Naala Meri Dua Ho!

Is Kham'shi Mein Jaain Itne Buland Naalay
Taaron Kay Qaafilay Ko Meri Sadaa Dara Ho

Har Dardmand Dil Ko Rona Mera Rulaa Day
Bayhosh Jo Paray Hain Shaayad Inhein Jagaa Day

Poet: Doctor Muhammad Iqbal
Voice: Imran Sherazi

دُنیا کی محفلوں سے اُکتا گیا ہوں یا رب!
کیا لُطف انجمن کا جب دل ہی بُجھ گیا ہو
شورش سے بھاگتا ہوں، دل ڈھونڈتا ہے میرا
ایسا سکُوت جس پر تقریر بھی فدا ہو
مرتا ہوں خامشی پر، یہ آرزو ہے میری
دامن میں کوہ کے اک چھوٹا سا جھونپڑا ہو
آزاد فکر سے ہوں، عُزلت میں دن گزاروں
دنیا کے غم کا دل سے کانٹا نکل گیا ہو
لذّت سرود کی ہو چڑیوں کے چہچہوں میں
چشمے کی شورشوں میں باجا سا بج رہا ہو
گُل کی کلی چٹک کر پیغام دے کسی کا
ساغر ذرا سا گویا مجھ کو جہاں نما ہو
ہو ہاتھ کا سَرھانا، سبزے کا ہو بچھونا
شرمائے جس سے جلوت، خلوت میں وہ ادا ہو
مانوس اس قدر ہو صورت سے میری بُلبل
ننھّے سے دل میں اُس کے کھٹکا نہ کچھ مرا ہو
صف باندھے دونوں جانب بُوٹے ہرے ہرے ہوں
ندّی کا صاف پانی تصویر لے رہا ہو
ہو دل فریب ایسا کُہسار کا نظارہ
پانی بھی موج بن کر، اُٹھ اُٹھ کے دیکھتا ہو
آغوش میں زمیں کی سویا ہُوا ہو سبزہ
پھِر پھِر کے جھاڑیوں میں پانی چمک رہا ہو
پانی کو چھُو رہی ہو جھُک جھُک کے گُل کی ٹہنی
جیسے حَسین کوئی آئینہ دیکھتا ہو
مہندی لگائے سورج جب شام کی دُلھن کو
سُرخی لیے سنہری ہر پھُول کی قبا ہو
راتوں کو چلنے والے رہ جائیں تھک کے جس دم
اُمّید اُن کی میرا ٹُوٹا ہوا دِیا ہو
بجلی چمک کے اُن کو کُٹیا مری دکھا دے
جب آسماں پہ ہر سُو بادل گھِرا ہوا ہو
پچھلے پہر کی کوئل، وہ صبح کی مؤذِّن
مَیں اُس کا ہم نوا ہوں، وہ میری ہم نوا ہو
کانوں پہ ہو نہ میرے دَیر و حرم کا احساں
روزن ہی جھونپڑی کا مجھ کو سحر نما ہو
پھُولوں کو آئے جس دم شبنم وضو کرانے
رونا مرا وضو ہو، نالہ مری دُعا ہو
اس خامشی میں جائیں اتنے بلند نالے
تاروں کے قافلے کو میری صدا درا ہو
ہر دردمند دل کو رونا مرا رُلا دے
بے ہوش جو پڑے ہیں، شاید انھیں جگا دے

My Other YouTube Channel Links:
Sherazi Info Point ► https://bit.ly/3pnQmtz
Imran Sherazi Voice ► https://bit.ly/3slYY5P
Cricket Captain ► https://bit.ly/3hmJPes
Cricket Info ► https://bit.ly/35D7Tak

My Social Media Links:
► My Website: https://bit.ly/3FNqD3b
► My Facebook: https://bit.ly/3Ajhazg
► My Twitter: https://bit.ly/3FHJkW1
► My Instagram: https://bit.ly/3GLDZhA
► My Telegram: https://bit.ly/3KIU8Hd
► My TikTok: https://bit.ly/3xe9FKJ

#AllamaIqbal #UrduPoetry #ImranSherazi #ShaneImamat #IqbalPoetry #IqbalShayari #IqbalPoetry #UrduShayari

Emotional Kalam e Iqbal -Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab | Hanzala Abdullah | Peace Studio

Baang-e-Dara: 19 | Aik Arzoo | ایک آرزو | A Longing | Allama Iqbal | Iqbaliyat | AadhiBaat

Aik Aarzu | Baang e Dara 19 | Allama Iqbal | Sword Of Haq

Dunya ki Mehfilon se ukta gaya hun ya Rab | ik Arzoo by Allama Iqbal | Best Urdu Shayari

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon || Best Urdu Poetry Status || Whatsapp Status,

Aik Arzoo by Allama Muhammad Iqbal | Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Lyrics | Islamic Record

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab | Aik Aarzu by Allama Iqbal | Shan e Imamat

Aik Aarzo Duniya Ki Mehfilon Sa Ukta Gya Hu Ya Rab | Allama Iqbal | English Subtitle

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab | Ek Arzoo by Allama Iqbal | Imran Sherazi Voice

DUNYA KI MEHFILOON SE UKTA GYA HUN YA RABB!!-AIK AARZOO || Iqbal's Poem || Poetry Hub

Aik Arzoo by Allama Iqbal Full Explanation | Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hoon | Islam Pakistan

Aik arzoo|Duniya ki mehfilon se ukta gaya hun ya rab|Baang-e-Dara aik arzoo Allama iqbal|Duniya kya

ek arzoo allama iqbal + Tashreeh | Allama iqbal poetry | kulyat e iqbal | Bang e Dra 19

Nazm " Dunya ki mehfilon se ukta gaya hun yarab. ✍️ ALLAMA IQBAL . 🎤 AMJAD ASRI

Aik Arzoo | Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya hn |Allama Iqbal Best Poetry | Baa Zauq Log

Ek Arzoo|| Duniya Ki Mehfiloon Se Ukta Gaya Hu Ya Rab Poem Of Allama Iqbal.

Emotional Kalam | ایک آرزو | A Longing | Aik Arzoo | Dunya ki Mehfilon Se | Allama Iqbal | Abrar

Kalam e Iqbal || Dunia ki mehfaloon se ukta Gaya hoon ya Rab || With English Subtitles

Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun Ya Rab!,Aik Arzo,Allama Iqbal,دنيا کی محفلوں سے اکتا گيا ہوں يا رب

Dunya ki Mehfilon se ukta gaya hun ya Rab | Urdu Shayari|Urdu shayari sad| Aik Arzoo By Allama Iqbal

Duniya ki mehfilon se ukta gaya hu | Sufiyan Khan | 2022 | Ek Aarzoo | Allama Iqbal |

Allama Iqbal Poetry | Duniya ki Mehfilon se | Hafiz Rizwan Poetry

Dunya ke Mehfilon sa Ukta gya hun | Allama iqbal poetry 2023

Allama Iqbal ki Nazam | Ek Aarzoo |Duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon ya rab #allamaiqbal #shayeri

Dunia Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab |Allama Iqbal Poetry| Best Urdu Poetry | Ik Arzu | A Wish

Duniya ki mehfilon se ukta gaya hu | Allama Iqbal poetry | sad poetry status| WhatsApp poetry status

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun | Iqbal Ghazal | Allama Muhammad Iqbal Nazam

Dunya ki Mehfil se ukta gaya hu written by Allama Iqbal

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya RAB | ILAMA IQBAL | Pakistan National Poet Ilam Iqbal Poetry

Baang-e-Dara: 19 | Emotional Kalam e Iqbal | Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab

Disclaimer DMCA